abhi zid na kar, dil e bay khabar
keh pas e hajoom sitam graa`n
abhi kon tujh say wafa karay
abhi kis ko furstai`n hain is qadar
kay samait kar teri kirchiyaa`n
teray haq mai khuld say dua karay
abhi zid na kar dil e bay khabar
keh teh e ghubaar gham e jaa`n
kahan kho gaye teray charah gar
keh raah e hayat mai raigaa`n
kahan kho gaye teray hum-safar
abhi gham gusaro`n kee chot say
abhi kuch na soun abhi kuch na keh
abhi zid na kar dil e bey nawa
No comments:
Post a Comment