Tuesday, August 17, 2010

MohabbatoN pe buhut aitmaad kya kerna

MohabbatoN pe buhut aitmaad kya kerna
bhula chuke haiN usay phir se yaad kya kerna ??



woh bewafa hii sahii uss pe tuhmateiN kaisi
zara sii baat pe itna fasaad kya kerna



kuch isliye bhii maiN paspa hua hooN maqtal meiN
k behr-e-maal-e-ghaneemat jihaad kya kerna



mukhalifoN se to mumkin hai dostii apni
munafiqoN se magar ittehaad kya kerna



nigaah meiN jo utarta hai dil se kyuN utray
dil-o-nigaah meiN paida tazaad kya kerna



maiN isliye usay ab tak na chu saka faysal
woh aaina hai usay sung'zaad kya kerna

No comments:

Post a Comment