Monday, August 16, 2010

Hamain khabar hai tamam dukh hai….

Hamain khabar hai tamam dukh hai….


Yeh zindagi ko aasmanoon ki wus’satoon say

Hazar sadiyoon say mil raha hai… payam dukh hai

Jo karzar-e-zawaal hasti ko, dhoop chaoon ki

Ahatoon say chala raha hai… nizaam dukh hai

...Sehar to ik mushtasir sa ghum hai,

Taweel din ki hawailioon kay, jo rastoon main thehar gai hai

Wo shaam dukh hai, yeh shaam dukh hai

Kay iski sheh par kai dinoon say

Musafiran-e-abd ka aisay firaq asaar rastoon par

Safar to khair ik almiah hai, qayaam dukh hai

Hamain khabar hai, tamaam dukh hai

Yeh aas dukh hai, niraas dukh hai

Udasioon ka libaas dukh hai

Yeh tishnagi jo azaab bun kar thehar gai hai

Badan kay boseeda sahiloon par

To iska ehd-e-dawaam dukh hai

Yeh shor karti hawa ka sara kharaam dukh hai

Hamain khabar hai tamaam dukh hai

Yeh tum muhabbat nibhatay ho, to is muhabbat ka naam dukh hai

Yeh wasl mausam jo ik musalsal zabta hai

To is rafaqat ka naam dukh hai

Aur aisi wehshat numa fiza main

Khamoosh rehna bhi ik saza hai

Magar kisi say kalaam dukh hai..

Hamain khabar hai.. tamaam dukh hai

No comments:

Post a Comment